WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

SIMRANWORLD - Topics
Create Your Own App Store

* SIMRANWORLD > Topics


Subject: BRAIN FRY QUESTION
Replies: 263 Views: 6872
1-> 7->>

sabhia 13.09.10 - 07:11pm
RAIMA KI DOSTI MUJHE BOHAT MEHNGI PAR RAHI HAI AB HUKM MILA HAI KE YAHA TOPIC BNAO. TO MAI NE BHI ASA TOPIC BNA DIA HAI KE JAWAB DETA DETA SAB KA HOJAYE GA BHEJA FRY. HAHAHAH *

sabhia 13.09.10 - 07:14pm
yaha pe members koi bhi sawal,pehail,da sakta han jisko dosra members ne bojhna hoga. *

sabhia 13.09.10 - 07:15pm
Pehla sawal mai poch rahi hun dekhta han apka bheja fry hota hai nahi? hahahaha *

sabhia 13.09.10 - 07:21pm
Ak oarat qabar pe bethi ro rahi thi. logo ne pocha ye kis ki qabar hai? us pe wo oarat boli:- ye mera baap ki qabar hai, andr mera beta hai, agr zinda hota To mera sohor hota.... members zra zehn pe zor dalia or bataiye ke kia asa mumkin hai? *

iqqra 13.09.10 - 10:10pm
Banghead.GIF *

suraj242 14.09.10 - 06:34am
Haan aisa mumkin he . . .
Me samajh gaya. . . .
Bilkul ache tarah se samajh gaya. . . Ye question. . . . *

raima 14.09.10 - 07:17am
suraj phir batata kiyo nahi? *

raima 14.09.10 - 07:21am
Or sabhia darling, sweety, hony, iti jaldi meri bat pe to larka bhi amal nahi krta jitni jaldi tum ne kiya? hehehehe thanx thanx thnx my sweety hony friend. Hug.GIF *

raima 14.09.10 - 07:24am
yar sabhia pehla sawal or wo bhi itna muskil? hehehe *

raima 14.09.10 - 07:29am
Jawab to is suraj ko bhi nahi ata, ye bus asa he bongia mar raha ha. magr yar asa kesa ho sakta ha ke Qaber bap ki ho or andr beta? or zinda hota to soher hota? mera to waqi brain fry hogaya hehehehehe *

suraj242 14.09.10 - 08:20am
Kya mujhe nhi pata??
Pata to nhi hai bas maine guess kiya hai. . .
Suno : ---
Aisa ho sakta hai ki . . .Wo kabra uske baap ka ho but sirf naam ke liye. . .Actualy uske ander wo nahi hai. . .
Uske ander us aurat ke bete ke umra ka ladka hoga . . .JisSse uski pehle shadi hone wali hogi . . . But shadi hone se pehle hi uski death ho gayi hogi .
So, wo aurat keh rahi hai ki ye kabra uske baap ki hai. (magar sirf naam ke liye hoga)
isme uska beta hai. (matlab bete ke umra ka ladka hai)
aur agar ye zinda hota to ye uska sohar hota. (kyunki uske marne se pehle uski shadi us ladke hone wali hogi). . . . .


But wo shadi se pehle mar gaya aur ab wo aurat budhi ho gayi but wo ldka toh abhi v jawan hi hai . . Isliye us aurat ne aisa kaha hoga. . . . Ki isme uska beta hai. . .Aur agar wo zinda hota to uska sohar hota. . .

SABHIYA ji ab aap hi aaker bataiye ki kya maine sahi socha ya galat??

*

raima 14.09.10 - 09:10am
suraj itna mera bheja fry sabhia ka sawal parh ke nahi howa tha jitna tumhara jawab parh ke howa ha Banghead.GIF *

anilla 14.09.10 - 11:39am
ye kiya sawal ha? mera to sir pe se guzr gaya. imposible.. asa ho he nahi sakta.. *

2vikash2 14.09.10 - 02:56pm
i think an*lli is right *

sabhia 14.09.10 - 03:19pm
Anila sawal tumhara sir pe se bilkul sahi guzra hai. kiu ke sawal waha tehr ke kia krta jaha kuch ho he nahi? hahahah Hehe.GIF *

sabhia 14.09.10 - 03:22pm
suraj ji ek dam uncorrect!!! hahahahaha suraj ji bilkul galat hai apka jawab! sochey sochey zara zehn pe zor dalay ho sakta hai apka pass dimaq ho or wo kam krna laga? hahahahahah *

suraj242 14.09.10 - 03:34pm
thinking.GIF *

raima 14.09.10 - 06:24pm
kiya howa suraj? dil chota na kro, try 2 try again, kabhi asa hota ha ke bilkul samne ki chiz hum ko nazr nahi ati, magr wo hoti samne he ha, sabhia ke sawal ma bhi asa kuch ha zror jiski tarf humara zehan nahi ja raha ha. jis waqt wo sira hath ma agaya samjho sawal solve hojaye ga. *

mahkna 14.09.10 - 08:49pm
ye lo sala, orat ho ke bhai log wala kam krti hai, bap ki qabr mai beta ko gaad dia *

dahkna 14.09.10 - 08:53pm
Abey, be dimaq ke insan numa janwar, uska sawal to sahi se parh la? orat pe ilzam lagata hai Bash.GIF *

mahkna 14.09.10 - 08:58pm
Abay dhkan Chairshot.GIF uski batay to sun, kehti hai, qabr mera bap ki andr mera beta hai? sala apun ka to khopdi ghumirila hai ye sun ke *

dahkna 14.09.10 - 09:01pm
Yar makhan zara thanda dimaq se soch Chin.GIF ho sakta hai orat sahi keh rahi ho *

mahkna 14.09.10 - 09:03pm
Abey tujhe badi hamdardi a rhi hai orat se? teri phophi ki beti hai jo such keh rahi hai? *

dahkna 14.09.10 - 09:06pm
yar yaha sonia ko to na ghseet, uska zikr kio kr raha hai yaha? *

mahkna 14.09.10 - 09:10pm
name to bada zordar hai teri phophi ki beti ka, ye wohi hai na jisko to line krata tha, or wo kisi or ko line krati thi? phir tera phophad ne tujh ko peeta bhi is he line bazi pe? *

dahkna 14.09.10 - 09:13pm
Abey makhan insan ban, insan, do kia tera kan ke neecha ek.. ghtia insan khandan ki orto ko beech mai lata hai? mard hai to mujh se bat kr *

mahkna 14.09.10 - 09:15pm
Abay dhakan tujh se nahi to kia us orat se bat kr raha hu jo qabr pe bethi jhot pe jhot bola ja rahi hai? *

dahkna 14.09.10 - 09:19pm
yar makhan ye bhi to hosakta hai ke jesa bohat se log marna se pehla he qabrustan mai apna lia jaga book kra leta han ke is he trha iska bap ne bhi ye qabr ki jaga apna lia book krai ho? *

dahkna 14.09.10 - 09:23pm
Magr us ke marna se pehla uska nawasa yani uski beti ka bacha mar gaya? to usko is qabr ma dafna dia gaya ho? yar is trha to orat such bol rahi hai na ke qabr mera bap ki andr mera beta hai... *

mahkna 14.09.10 - 09:30pm
Abey dhakan abey dhakan, orat ke peecha bhagna wala coha, kio us orat ko sucha sabit krna pe tula hoa hai, dekh nahi raha kitni khatrnak orat hai wo jis ne bap ki jaga beta ko dafna dia? bulke mujhe to lagta hai is orat ne apna bap ko bhi beta ke sath he dafna dia hai, jab he to wo keh rahi hai ke qabr mera bap ki andr mera beta hai.. yar dhakan is qabr ka to postmartam hona cahiye? *

dahkna 14.09.10 - 09:32pm
Abay phigla hoa makhan. postmartam qabr ka nahi murda ka hota hai Hit.GIF *

mahkna 14.09.10 - 09:35pm
Abey han yar jo bhi hota hai, wo hona cahiye, is orat ki to investigation honi cahiye, taa k doodh ka doodh or makhan ka makhan hojaye.. *

dahkna 14.09.10 - 09:38pm
Abay mera bap Banghead.GIF doodh ka dood or makhan ka makhan nahi, doodh ka dooh or pani ka pani hota hai *

mahkna 14.09.10 - 09:53pm
Abay jo bhi hota ho usko chor, ye bata ke farz kr hum teri bat bhi man leta han ke jaga uska bap ne book krai magr us se pehla uska nawasa mar ke us ma dafan ho gaya.. to ye bata ke wo orat akhir mai ye bhi to keh rahi hai ke agr zinda hota to mera sohr hota? ab kia kehta hai tou? *

dahkna 14.09.10 - 09:57pm
Abey yar makhan bhai ab to mujhe bhi yaqeen hota ja raha hai ke ya to ye orat ek number ki jhoti hai ya bohat he badi beqairat hai, yar khud soch kaha bap or beta, or kaha sohr ka rishta? *

mahkna 14.09.10 - 10:00pm
Dhakan is masla pe kal bat krta han, gali mai kutay bhonkna laga han lagta hai razia pe agai hai, mujhe jana hoga yar *

dahkna 14.09.10 - 10:11pm
Magr razia ka kuto ke bhonkna se kia taluq ? *

mahkna 14.09.10 - 10:16pm
Abay dhakan ye humara signal set hai ke wo rat ke 2 baja apni se humari pe a ke gali ke soye hoa kuta ko pathr marti hai oper se, jis se kuta bhonkna lagta hai or mai samjh jata hu ke razia pe agai hai. phir mai bhi pohanch jata hu pe *

dahkna 14.09.10 - 10:39pm
yar to khushkhismat hai ke teri gali mai kuta bhi han or pados mai razia jesi ashiq mizaj mehboba bhi, ek hum badnaseeb han jiski gali mai sirf kuta he kuta han pados mai koi razia nahi, ja mera dost ja aish kr, *

dahkna 14.09.10 - 10:45pm
Wasa yar razia hai bohat aqalmand, magr yar shadi ke lia itni bhi aqalmand larki theek nahi, shadi ke lia to sidhi sadhi bewaqof typ ki larkia theek rhti han, meri bat pe akela mai beth ke sanjeedgi se qhor zror krna. or agr meri bat tera dil ko laga, or tera irada ho razia ko chorna ka to mujhe uska number dena zra... *

unzila 15.09.10 - 10:10am
Hahaha.GIF *

raima 15.09.10 - 01:23pm
Mahkna dahkna, achi koshish ha apki logo ko hunsana ki, magr kahi kahi ap over hogaye, means kuch words asa han jo mizaj pe bhari guzrta han. logo ko hunsaye magr limit ma reh kr, acha or purlutf mazaq na sirf insan ke zoq ka pata deta ha bulke mizaj pe bhi acha asar chorta ha. bhai umeed ha ap meri bato ko possative way ma le ga or mind nahi kra ga. *

iqqra 15.09.10 - 07:24pm
Wo aurat 100% such keh rahi ha. kiyo ke qubrostan ma beth ke koyi bhi jhot nahi bolta, han magur wo aisa kiyo keh rahi ha? is ka pata lagana para ga. *

urjijaji 16.09.10 - 09:09am
Ye orat akhr hai kon? jo qabrstan mai a kr asi batey kr rahi hai? Hit.GIF *

muneeba 16.09.10 - 10:18am
Sabhia koy ishara to do. itni mushkil peheli pochi ha tm ne ke sach ma bheja fry hogaya ha Confused.GIF *

gadha 16.09.10 - 01:00pm
Mein to apna ap ko he gadha samjhta tha. yaha to mujh se bhi bada bada gadha para hoa hain? 46 postings hogai or 1 itna mamoli se asan sawala ka jawab nahi mil saka kisi ko? afsos sad afsos najana kis bat pe ashraf,ul,maqloqat bana phirta hain. in se acha to mein hun jisko kam,as,kam is sawal ka jawab to pata hai, bus sirf batana se darta hun ke kahi ghalat na ho. *

raima 16.09.10 - 08:37pm
Gadha ji daria nahi. ap jawab dijia, agr ap ne sahi jawab da diya to ma apki shadi Wedding.GIF apki PEE se kra do gi heheh *

anilla 17.09.10 - 10:13am
Acha jee gadha ki bhi ha koi pee ?? hahahaha Hehe.GIF *

iqqra 17.09.10 - 11:30am
YAR KAHI WO QABER PE BETHI ORAT PEE HE TO NAHIII????? Hahaha.GIF *

iqqra 17.09.10 - 11:33am
GADHA JI ZARA BACH KE REHNA BADI KHTRNAK ORAT HA BAP OR BETA KO TO MAR KE DAFNA DYA EK HE QABER MA, AB LAGTA HA APKI BARI HA HAHAHAH Dead2.GIF *

iqqra 17.09.10 - 11:40am
Ap hunsta he roho ga ya dimak chala ke sawal ka jawab bhi do ga? *

1-> 7->>


* Reply
* SIMRANWORLD Forum


Search:
topics replies


* SIMRANWORLD

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store