WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

SIMRANWORLD - Topics
Create Your Own App Store

* SIMRANWORLD > Topics


Subject: REAL LOVE AND BEAUTY
Replies: 19 Views: 564

kawish19 26.11.08 - 08:39pm
SUGGESION IN HINDI OR URDU
*

simran5 26.11.08 - 09:35pm
MY FRIEND REAL LOVE MOTHER LOVE. REAL BEAUTY MOTHER SMILE. *

arkofnuh 26.11.08 - 09:40pm
Real love is true love, nd true love is makes beauty, other wise nothing els *

uflove 26.11.08 - 11:25pm
Beauty ki 2 types hoti hain.Inner beauty n outter beauty.Inner beauty insaan ki shakhsiat uski soch aur uskay behaviour say nazar aajati hai jabkay outter beauty(ju nazro ka dhoka hai meri nazar mai) insaan ki physical appearance say nazar aajati hai.Inner beauty kabi khatam nai hoti jabkay outer beauty khatam hojati hai waqt kay sath sath.Aur love yeh tu ek aisi feeling hai ju justujo hai kisi ko dil say apna bananay ki khwaaish hai.Kisi ko uskay tamam achay buray ko jaan kar bi apnaanay ka jazba hai.Woh apki family ho friend ho ya phir woh hz jisay aap apna life partner banaana chahtay hain.Yeh jazba hi tu insaan ko apnay rub ko pehchaannay ka zaria banta hai.Meri nazar mai yeh ek bay ikhtiaar jazba hai.Magar afsos is jazbay ki kadar karnay waalay boht hi k*m rehgaye hain. *

asimktk 27.11.08 - 05:54am
Jazbe hamaisha suche,aur mukhlis hua karte hein,,agar n mein zara bhar be kami aajaye t0h w0 jazba apna mafh0om even apna naam tak kh0o bait'ta hai..t0h l0ve k0 catag0rize karna yani k true l0ve,nd jus lOVE,ye meri nazar mein aik wahiyaat sa tasavaar hai,han albata majazzi aur haqiqi love aik alag tasavar hai..zindagi k mukhtalif chorah0o pe,mukhtalif advaar mein agarche m0habet yani love ka mehf0om t0h aik he rehta hai lakin zaroratien,expectati0n badalti rahti hein,(continu) *

asimktk 27.11.08 - 06:03am
Ya yun samaj liyea k m0habbet mukhtalif ro0p dhar k ap ki beraang zindagi k qinvaas mein rang bharti rahti hai,bachpan mein aik bache k liye apni tamam chaht0o,m0habatt0o ka mehver apni m0thr h0ti hai,lakin bhadti umar k saat saat w0 n chahet aur m0habet k daire mein d0osre l0g0 k0 be shamal karta hai,aik aissa duur be ata hai jub use kisi aise shaks se m0habbet h0 jati hai,jis k sahare w0 apni zindagi biithana chahta hai,use us k ilava koi nahi s0ojta,(conti) *

asimktk 27.11.08 - 06:09am
W0 kisi shaer ne kya kh0ob kaha na,,,dil k aiinne mein hai tasveer,e,yaar jub zara gardan jukkha li,daik li......yun waqt k saat saat azdavaji zindagi mein insan k m0habet0 k dairre maziid t0di lachak paida hoti hai w0 apne bach0o se m0habbet karta hai be-panah,,waqt k saat saat jub w0 piiri k dahliiz pe phunchta,t0h w0 apne rub se apne din se m0habet karta,han ye zar0ori nahi k sirf bo0rhape mein he aisa h0o,allah ki m0habet t0h har musalman k dil mein hai,,ye kuch batein thi lOve k bare mein s0 share ki.. *

arkofnuh 27.11.08 - 06:18am
Asimktk- yar yeh bata do ke yeh sab kis kitab se naqal kia hy uska reference bata do hume bi kuch sekhne ko mill jaiy ga *

asimktk 27.11.08 - 07:53am
Kh0obso0rti t0h qainat k har zare mein bhikri padi hai,khud s0ochiyea zara kya ye azim,0,shan qainnat allah ki shahkaar nahi??jub hai t0h ye kaise mumkin hai k us ki tukhleeq kh0obs0ret na h0o,bus aik kh0obs0ret ankh h0ni chahiyea kh0obs0rti mehs0os krne k liye..aur aik shaer ,,seerat nahi s0orat hui t0h kiya?...surk,0,safaid mitti ki m0oratt hui t0h kiya??,tnx *

asimktk 27.11.08 - 07:55am
Bhai kitabein be hamari apki tarah k insaan he likhte hein,nd ye kitaab se nahi,khud mehs0os kiya aur khud p0st kiya,, *

uflove 27.11.08 - 08:31am
Achi baat hai.Asim tum nay ju kaha bilkul theak kaha par ek baat tou batao ju mainay kaha kya woh ghakat tha?Aur agar mai ghalat hon tu konsi baat mainay ghalat ki?Kya tum is baat say agree kartay ho kay muhabbat ek jazba hai ya nai?Kya yeh sach nai kay tumnay meray he reply ko explain kya hai wud detail?Ya mera aur tumhara nazarya different hai? *

mr_khan 27.11.08 - 08:50am
reading2.GIF *

arkofnuh 27.11.08 - 09:25am
Gr8 tmhri souch bohat achi hy, be shak takhleek itni khubsorat hy to khaliq to humari soch se bi ziada khubsorat hy, beshak asali hussan insan ke undr hota hy bus soch badalne ki zarorat hy, *

antidot 27.11.08 - 12:45pm
Har Zara Chamakta he Anwaar-e-Illahi se, Har sans ye kahti he Hum hen to Khuda bhi he. Maqsad ye k Khubsoorati ka paimana koun karega... Kiya ye hamari banaee huwe koe cheez hy? jis ko hum ISO-9002 certified kar k kahen k aise nahen aisy... ya phir aise...!! Bhoky admi ko Roti ka tukda The Most Beautiful lagega... Main samajhta hun k Khubsorati Tabdeel hoti rahti he.. Bacha apny Khilony ko Kaenat ka haseen tuhfa samjhega.. lekin kitni dair tak? wo jub jawan ho jaey tub?? Aur Love! to wo Gravity hota he Khubsoorti ka. Ji? *

asimktk 27.11.08 - 03:32pm
Uflove darasal baat ye hai k jazbaat,ehsaasat,aur qadrein ye insaan he ki paidavaar hein,aur insan aik he fitret pe paida hue,t0h n jazb0o k0 ap aur hum aik he jaise feel karte hein,bus apne takhayal aur apne jazbaat k0 mukhtalif alfaaz ka r0op pehna kar safh,e,qartaass pe kund karte hein,s0 ap ne apne andaz mein xplain kiya,maine apne andaz mein,baat aik he hai.. *

salim425 27.11.08 - 09:09pm
2 4 go ur desire 4 de other.And beuty is what ever da soul and de eye rest. *

antidot 28.11.08 - 03:52pm
Love is not a path. Love is a merger with an individual, a deep intimacy of two hearts -- so deep that the two hearts start dancing in the same harmony. Although the hearts are two, the harmony is one, the music is one, the dance is one. *

antidot 28.11.08 - 03:53pm
Love is the greatest gift of God. Learn the art of it. Learn the song of it, the celebration of it. It is an absolute need: just as the body cannot survive without food, the soul cannot survive without love. Love is the nourishment of the soul, it is the beginning of all that is great, it is the door of the divine. *

s.aleena 29.11.08 - 06:39pm
UFLOVE u r 201percent rite internal beauty is must yar , india me agar guy earn gud n wel sattel bt nt gud lookin no 1 select hm bt gud looking & gud 4 nothing guys get select n grls parants dnt knw thy distroyin grls life nt grls bt hs kids also *


* Reply
* SIMRANWORLD Forum


Search:
topics replies


* SIMRANWORLD

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store