WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

SIMRANWORLD - Topics
Create Your Own App Store

* SIMRANWORLD > Topics


Subject: ROMANTIC STORIES
Replies: 42 Views: 1195

ramiss 10.10.09 - 04:08pm
lo ji romantic dialog ke bad ramiss production ki ek or fakhria paishkash ROMANTIC STORIES hazir hai. yaha ap ne likhni hai koi bhi aisi romantic story jisko parh ke jazbat rahe na apna qabo mai.... hey dont valegrty just romance na... *

kanwall 12.10.09 - 09:45am
First story kon start kra ga? *

ramiss 12.10.09 - 10:31am
Tumko bohat jaldi ho rahi hai to tum he start kr do? *

simran5 13.10.09 - 10:55am
ramiss ab yaha kiya naya gul khilana wala ho tum? hahah *

resham77 13.10.09 - 05:12pm
RAMISS Mr. sahensha,e,jazbat! ap se achi romantic story koyi likh sakta ha yaha? ap he start la lay. apko dekh ke phir dosro ki bhi himat barha gi *

bhabhi.1 15.10.09 - 05:35pm
Devar ji ap start le raha ho ya ma start lo? mera pas ha ak romantic story, real wali, mera or apka dullha bhai ki shadi se pehla ki prem kahani. bolo to start lo? hahah *

ramiss 16.10.09 - 08:35am
Bhabhi maa ap to rahem he kro hum per.hahahahaha lagta hai ap apni shadi se pehla or shadi ke bad ki pori biography he net pe la ai gi? *

ramiss 16.10.09 - 08:43am
Start to la leta mai story ka but koi khaka he tarteeb nahi ho pa raha hai? Samjh mai nahi a raha ke kaha start lo? Kahani ka plot kia hoga? Kuch samjh nahi a raha but itna conferm hai ke ek bar story start ho gai to to phir to khaiyalat ata jaye ga or mai unko kahani ki shakal deta raho ga. Bus kuch fursat nahi mil nahi kuch in dino dil,o,dimaq bhi kam nahi kr raha. So is he lia kuch lat hogai ye story. *

maheen18 16.10.09 - 05:07pm
kiya hoya ramiss? plot ka problm ha? bhabhi ka plot ha na? jo unko dullha bhai ne suhag rat ko gift kiya tha? wo la lo un se kuch dino ke liye udhar? hahahahaha kahani likh ke unka plot wapas da dana. hahahahaha *

zermeen 17.10.09 - 11:19am
Abhi tum story start krna ma itna time la raha ho, to agar start kr di to khatam krna ma najana kitna time lo ga? *

kanwall 17.10.09 - 01:06pm
ramiss ab story ka panga liya ha to ab isa pora to kro? hahahah *

ramiss 17.10.09 - 05:38pm
han ye to sahi kaha tum ne ke ab panga lia ha to pora krna to para ga he. *

ramiss 17.10.09 - 05:42pm
lo ji kahani ka start hona laga hai.kahani to mai likh raha hun magr abhi iska name koi nahi rakha. name rakhna hai ap logo ne jis waqt kahani khatam hogi. sub se khobsorat name rakhna wala ko gift bhi dia jai ga. *

ramiss 17.10.09 - 05:50pm
urdu adab ki sari khobsorti iske khobsorat alfaz han, lafzo ka bahao, unki rangeeni,ye kuch mushkil bhi laga ga un logo ko jinki madri zaban urdu nahi,magr in he mushkil alfaz ma jo khobsorti hoti hai unka baqair urdu adab ki kahani adhori hai.or kio ke yaha ziayda tar members pakistani or karachi se belong krta han is lia mera khaiyal hai ke unke lia wo alfaz jo is kahani mai istimal kia jai ga, mushkil nahi honga or members kahani ko enjoy krenga. *

ramiss 17.10.09 - 06:49pm
OR phir chiraqo mai roshni na rahi..jo nazr uski tarf uthi palat ke wapas ana bhol gai..hr nigha us pe he thi.. uski sakziat ne jesa seher tari krdia tha sub pe.. Karachi university ka mahol jaha hr waqt rangeen anchalo ki bahar apna rang jamaye rakhti thi. dilkash hunsta muskrata apni zindugi ke haseen dor se guzrta haseen cahray, in sub ke hota hoa bhi agr hr nazar ka mehver uski shakziat thi to kuch to bat thi us mai ? SHAKEEB AHMED unani deotao jesa husan ka malik, siaha chamakti hoi ghari ankhey uski zahanat ka pata deti thi.maatha pe beniazi se bikhra light golden bal, khilta hoa rung ke cahra pe sunhari kamani ke galases uski shakziat ko kuch or bhi bawaqar bana rahi thi. university mai yu to khobru larko ki bhi kami na thi lakin uska agay to jesa kisi ka chiraq chal he nahi raha tha.her rang pheeka tha uski mardana wajahat ke agay. shaiyed uska lia he kaha gaya tha ke, wo aya,us ne dekha,or us ne fatha kr lia.. nehaiyet he bawaqar andaz mai ab wo qadam barhat hoa mass communication dep ki tarf chala gaya tha. *

ramiss 17.10.09 - 07:51pm
Class mai bhi is waqt larkio ka mozo wo he ajnabi tha, Hr koi apna andaz mai us pe tabsira kr raha tha, kuch ka khaiyal tha ke wo koi new student hai? jubke kuch ka khaiyal tha ke kisi sir ka guest tha jo un se milna aya tha,kio ke usko staffroom mai jata hoa dekha gaya tha, najana ye behes kab tak chalti ke class room mai koi enter hoa, apni khushbo se he apni amad ka pata deta wo he to tha jo apna makhsos bawaqar andaz mai ab lecture dice ki tarf barh raha. lecture dice pe apna hath mai pakri book wo ab rakh raha tha. phir jis waqt wo lecture dice se ghom ke student ke samna a ke khra hoa to larkio ki hairat ki inteha na rahi ye jan ke ke wo yaha student ko parhana aya tha. go ke usko nojawano mai to shumar nahi kia ja sakta tha magr itni bhi age nahi thi uski ke uska bara mai kisi ko ye umeed hoti ke wo parhna nahi parhana aya hai? pehli bar sub ne muskrahat uska cahra pe dekhi, ghazab ki dilnasheen halki se muskrahat ne uski wajahat mai kuch or izafa kr dia tha. ab wo apna introduction kra raha tha uski shakziat ki tarha uski awaz mai bhi mardana ghambirta pai jati thi.jo samne wala ko apna seher mai jakar leti thi. apna introduction ke bad ab wo un sub ka introduction hasil kr raha tha. bohat he dostana andaz tha uska jis se pata he nahi chalta tha ke wo aj pehli bar un sub se mil raha hai. introduction complet hona ke bad wo ontopic hogaya, or mass communication ki pakistani mashra pe afadiat pe kuch roshni dali us ne, print media or electronic media jo mass communication ki basic thi, us pe uski malomat ne hr kisi ko impress kia. beshak wo apni field mai mahir tha, apna thori dair ke lecture se he us ne sub pe apni zahanat ka ghara asar chora tha or sabit kr dia tha ke agr is age mai uska selection as a lecturer kia gaya hai to yaqinan wo marit pe aya hai or is qhabil hai bhi ke usko ye dimadari di jaye. *

ramiss 17.10.09 - 09:23pm
karachi ki garmi aj bhi apna urooj pe thi. point mis hojana ke bad 2 busey badal ke ghar jana ke khaiyal se he usko jhunjlahat ho rahi thi i ka time hona ki waja se busey bhi sari bhri hoi a rahi thi jin mai larkia gate tak khari hoi thi. akhir ek bus mai usko gate pe pair rakhna ki jaga mili to wo us he bus mai char gai. neepa tak to jana tha, fasla kuch itna ziayda na tha university se neepa tak ka, phir waha se usko bus change krni thi apna ghar pohnchna ke lia. akhir jesa tesa kr ke wo ghar pohanch he gai thi hath mai pakra journal or bag pataqna ke andaz mai us ne table pe rakha, or washroom mai ghus gai shower lena ke bad kuch sukoon mila to bhook satana lagi. ami khana! ki sada lagata hoa ab wo kitchen mai thi jaha rahat begam uska lia garam garam phulka taiyar kr rahi thi mohabat bhri nazro se beti ki tarf dekha to unki nazro ko mehsos kr ke wo bhi peecha se ja ke maa ke gala mai bahay dal ke jhol gai. or rahat begam muskra uthi. yehi to andaz tha uska bachpan se maa se lad ka. choti si thi jub se he uski ye adat thi school se ata he ami khana! ka nara marta hoa kitchen ma ja ghusna or maa ke gala mai piyar se bahey dal ke jhol jana. kuch bhi to nahi badla tha sub kuch waisa he tha. maa ka piyar bap ka lag. siwaye iska ke ab wo jawan hogai thi. raima arslan, arslan humdani or rahat begam ki ikloti olad. jis ki zahanat ke charchey sara khandan mai tha. ikloti hona ke bawajod uski adatey nahi bigdi thi. bachpan se le ke aj tak wo a plus grade leta hoa top krti ayi thi. b.a hons ke bad usko journalism mai charm nazr aya to university mai mass communication mai admition le ke he chora. arslan humdani ki zid ke bawajod ke wo uske lia driver rakh leta han or choti car bhi le leta han uska lia ke wo is tarha point mai dhaka khati hoi university na jaye kra. wo nahi mani thi. bap pe ziayda bojh dalna usko gawara na tha. janti thi wo apni car bhi mushkil se he maneg kr pata han. uska bap bhi koi landlord admi na tha. ek shareef or imandar bankofficer tha. jis ne humesa rizq,e,halal se unko palna ki koshish ki thi or uski her zrorat ka khaiyal rakha tha. wo janti thi uske lia gari lena ke lia uska bap ko apna bank se loan lena para ga. ye bat uski qairat gawara nahi krti thi ke uska aram ki khatir uska bap qarza ke bojh tala dab jaye. is he lia us ne point se he university jana ka faisla kia tha. khana kha ke wo kuch dair sona ke lia apna bedroom mai chali gai ye uski roateen thi. bister pe let,te he usko neend ki paria apni aghosh mai bhr leti thi magr aj to asa kuch bhi na hoa wo ankhey band kr ke sona ki koshsh kr rahi thi magr lagta tha aj us se neend ki paria rothi hoi han ankho mai neend na thi aj ankho mai kuch anjana se khoab tha, asa pehla kabhi nahi hoa tha. wo in cheezo pe believe bhi nahi krti thi na us ne aj tak kisi ko is nazr se dekha tha ke wo uski neendey he chura le? sub kuch khismat pe chor pe apna maa bap ki raza pe razi hojana ka azm rakhna wali larki thi wo. magr ye aj kia ho raha tha uska satha? us ne bohat koshish ki is khaiyal se peecha churana ki jo uski ankho mai bhri neend ka dushman hoa ja raha tha. or phir wo khaiyal itna shidat pakar gaya ke us khaiyal ne ek shakz ka roop dhar lia tha, wo khaiyal ek cahra bun ke cham se uski ankho mai uter aya.. bohat bachna ki koshish ki us ne magar bach na pai. shakeeb ahmed apni tamam tar ranayio ke sath uska dil pe qhabza jama chuka tha.. han wohi to tha dushman,e,jan jis ne aj uski neendey ura di thi... *

ramiss 17.10.09 - 09:42pm
Dosto ye kahani abhi jari hai khatam nahi hoi. han itna zoror hai ke raima ki tarha mera sath asa kuch nahi ke meri neendey ur jaye.. rat ke 3 baj raha han or neend ki paria mujhe apni aghosh mai bhr lena ko bechain han. hahahahahah so mai to chala sona ko. baqi kal.. *

ramiss 17.10.09 - 09:46pm
or han is ka next part likhna se pehla mujhe ap sub ka responce bhi cahiye ke ap sub ko ab tak ye story kesi lagi? isko agaya chalao ya band kr do? parhna walo ka responce he kisi author ke lia oxigan ka darja rakhta hai. im wait ur comments! *

nirjira 18.10.09 - 08:18am
Wow zabrdus story lag rahi ha. ab isko jaldi jaldi likho. agey kiya hoya? *

laiba1 18.10.09 - 09:57am
Achi ha. *

dilkashi 18.10.09 - 11:02am
han start to waqi jandar ha dekho ab agay chal ke kiya rukh ikhtiar krti ha tmhari ye romantic story? *

aroba 18.10.09 - 12:46pm
Ye romantic story ha? Hehe.GIF *

razia100 18.10.09 - 03:49pm
RAMIS AP BHI KHI UNIVERSITY MA HOTA HAIN? *

sajni85 20.10.09 - 11:10am
ramiss next episode kab arha ha is story ka? *

ramiss 20.10.09 - 06:16pm
razia ji university kia mai ne to school ka bhi muh nahi dekha aj tak! hahahahaha *

ramiss 20.10.09 - 06:17pm
chalta han story ke next part ki tarf. *

ramiss 20.10.09 - 06:56pm
Din kis tarha per laga ke uray kuch pata he na laga. shakeeb ahmad ko university join kia 3 month hogaye tha. is arsa mai student ka favt teacher bun chuka tha wo. uski shakziat ka jado apni jaga magar uska friendly styl usko uska student ke nazdeek lana ka subab bana tha. magar is betakalufi mai bhi us ne kuch limitaions rakhi thi. ustad or ird ke rishta ka taqadus behrhal aziz tha usko. bohat si nighao ma chupa unkeha paiqam us se poshida na tha. kuch bold girls ki had se tezi se barhti paishqadmi se bhi nawaqif nahi tha wo. magar apna profation se qadari bhi uska lia mumkin na thi. is he lia her unkeha paiqam, or apni tarf barhti hoi her paishqadmi ko bari khobsorti se rokta aya tha wo.or uski yehi ada larkio ko or uska diwana bana rahi thi. shakeeb ahmad ek chalenge banta ja raha tha larkio ke lia. ek na khatam hona wali dour thi ke dekha usko kon fatha krta hai? us din bhi wo campas ke tv lab mai kisi kam se gaya to usko waha raima akeli bethi nazr ayi. ye wo larki thi jiski ankho mai shakeeb ahmad ne humesha bala ka sukoon dekha tha. uski favt student jisko us ne humesa zahanat ke bohat oncha maiyar pe paya tha. khuda zaheen tha is lia zahanat uski kamzori thi. raima arslan go ke koi bohat ziada haseen o jameel larki na thi. phir bhi uska cahra mai jo sadgi or komalta thi wo he uska cahra ko jazib,e,nazr banati thi. uska cahra pe jo sub se khas mehrbani khuda ne ki thi wo uski jheel kanwal si ankhey thi. bohat pursookon rhne wali magr apna ander najana kitna tofan chupaye hoa wo 2 ghari ankhey kisi ko bhi pagal kr dena ke lia kafi thi. or us pe uska reserve rehna usko or mumtaz krta tha dosro se. is he lia shakeeb ahmad ki favt thi wo. shakeeb ahmad ki ye pasandeedgi her qism ki hiwis se pak or purkholos thi. yehi waja thi ke raima arslan jis ne aj tak apni zindgi ko her tarha ke 3rd rate love se bacha ke rakha tha asa he kisi sacha or pakeeza jazba ke intizar mai jo kaha na jaye sirf mehsos kia jaye. jo krna na para hojaye, or usa na kuch kehna para na krna para, us ne bhi mehsos kr lia tha or usko bhi hogaya tha. wohi piyar jo zindagi mai sirf ek he bar hota hai or jub hojaye to insan apni zat ko faramosh kr ke mehbob ki zat mai gum hojata hai. ishq,e,ilahi se ashna thi wo, mazhabi ruhjan usko wirsa mai mila tha. namaz roza ki paband apna khuda se piyar krna wali to wo bachpan he se thi. yehi waja thi uski rooh aj tak shafaf thi uska zahir ki tarha. ishq,e,ilahi to uski rooh mai racha basa tha. ishq,e,mijazi ka tajurba ab hona wala tha usko shakeeb ahmad ishq,e,mijazi ka roop dhara uski tarf barhta chala a raha tha. *

ramiss 20.10.09 - 06:57pm
Din kis tarha per laga ke uray kuch pata he na laga. shakeeb ahmad ko university join kia 3 month hogaye tha. is arsa mai student ka favt teacher bun chuka tha wo. uski shakziat ka jado apni jaga magar uska friendly styl usko uska student ke nazdeek lana ka subab bana tha. magar is betakalufi mai bhi us ne kuch limitaions rakhi thi. ustad or ird ke rishta ka taqadus behrhal aziz tha usko. bohat si nighao ma chupa unkeha paiqam us se poshida na tha. kuch bold girls ki had se tezi se barhti paishqadmi se bhi nawaqif nahi tha wo. magar apna profation se qadari bhi uska lia mumkin na thi. is he lia her unkeha paiqam, or apni tarf barhti hoi her paishqadmi ko bari khobsorti se rokta aya tha wo.or uski yehi ada larkio ko or uska diwana bana rahi thi. shakeeb ahmad ek chalenge banta ja raha tha larkio ke lia. ek na khatam hona wali dour thi ke dekha usko kon fatha krta hai? us din bhi wo campas ke tv lab mai kisi kam se gaya to usko waha raima akeli bethi nazr ayi. ye wo larki thi jiski ankho mai shakeeb ahmad ne humesha bala ka sukoon dekha tha. uski favt student jisko us ne humesa zahanat ke bohat oncha maiyar pe paya tha. khuda zaheen tha is lia zahanat uski kamzori thi. raima arslan go ke koi bohat ziada haseen o jameel larki na thi. phir bhi uska cahra mai jo sadgi or komalta thi wo he uska cahra ko jazib,e,nazr banati thi. uska cahra pe jo sub se khas mehrbani khuda ne ki thi wo uski jheel kanwal si ankhey thi. bohat pursookon rhne wali magr apna ander najana kitna tofan chupaye hoa wo 2 ghari ankhey kisi ko bhi pagal kr dena ke lia kafi thi. or us pe uska reserve rehna usko or mumtaz krta tha dosro se. is he lia shakeeb ahmad ki favt thi wo. shakeeb ahmad ki ye pasandeedgi her qism ki hiwis se pak or purkholos thi. yehi waja thi ke raima arslan jis ne aj tak apni zindgi ko her tarha ke 3rd rate love se bacha ke rakha tha asa he kisi sacha or pakeeza jazba ke intizar mai jo kaha na jaye sirf mehsos kia jaye. jo krna na para hojaye, or usa na kuch kehna para na krna para, us ne bhi mehsos kr lia tha or usko bhi hogaya tha. wohi piyar jo zindagi mai sirf ek he bar hota hai or jub hojaye to insan apni zat ko faramosh kr ke mehbob ki zat mai gum hojata hai. ishq,e,ilahi se ashna thi wo, mazhabi ruhjan usko wirsa mai mila tha. namaz roza ki paband apna khuda se piyar krna wali to wo bachpan he se thi. yehi waja thi uski rooh aj tak shafaf thi uska zahir ki tarha. ishq,e,ilahi to uski rooh mai racha basa tha. ishq,e,mijazi ka tajurba ab hona wala tha usko shakeeb ahmad ishq,e,mijazi ka roop dhara uski tarf barhta chala a raha tha. *

simran5 21.10.09 - 03:00pm
Nice story chanda. Bus ab isko continue rakho. *

aroba 22.10.09 - 04:33pm
maza agaya. hahaha *

kanwall 10.03.10 - 09:39pm
Phir kiya hoa ramiss? *

ramiss 23.06.10 - 07:27pm
Thanks simran ji thanks aroba. *

ramiss 23.06.10 - 07:28pm
kanwall ji, kis ka kia hoa? *

ramiss 23.06.10 - 07:29pm
resham ji itna na socho, kahi dimaq ka engan fail he na hojaye. hahaha *

sonaira 24.06.10 - 05:51pm
Dimag hoga to fail hoga na? Hehe.GIF *

urjijaji 25.06.10 - 10:30am
ramiss bhai itni achi story chal rahi thi isko beech ma he kiyo chor dya? *

ramiss 7.07.10 - 04:05pm
bro! jis kahani ka anjam na ho koi us kahani ko ek khobsorat mor da kr chor dena he acha!!! *

dilkashi 8.07.10 - 03:05pm
Wah,wah...wah, wah, kiya diallog mara ha ap ne Hehe.GIF *

parizad 11.07.10 - 07:57pm
bro ramiss her kahani ke anjam mai kisi nai kahani ka aghaz chupa hota hai. her kahani ke anjam se nai kahani janam leti hai. tum bhi ab koi nai kahani start kr do. *

parizad 11.07.10 - 08:02pm
bro ye kahani jo tum ne yaha likhi wo agar waqi tumhari apni likhi hoi thi to weldon bro! lafzo ka intiqab khob tha or kahani mai continuty bhi thi or plot bhi jandar tha. magr is kahani ko tum kio agay na chala sake? yaqinan koi problem hogi jis pe behes krna munasib nahi. *

ramiss 14.07.10 - 06:06pm
Tareef ka shukria parizad bhai, or ye 100% meri apni he taqleeq thi magr explain krna bohat mushkil hai ke ye kahani mai ne beech mai kio chor di? *


* Reply
* SIMRANWORLD Forum


Search:
topics replies


* SIMRANWORLD

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store